KYA KHAN-e-KABA PAR
WAHABIYO KA KABZA UNKE HAQ HONE KI DALEEL HAI
*************** **************
********
*************** **************
********
Makka madina ahle iman ka markaz hai magar yahan
shuru se batil firqe qabza karte aaye hain or yeh silsila aaj tak jari hai magar baaz naadan is haqeeqat ko yeh keh kar jhutla dete hain ki khuda ke ghar par kabza kaise ho sakta hai..?
yaad rahe yeh bhi Hamare rab ki hiqmat aur haq aur batil me farq karne ke liye
hai...
woh din yaad kijiye jab
mushirikeen makke par
kabiz the aur hamare pyare aaqa janab ahmade mujtaba
muhammad mustafa sallahu alahe wasalam wahan se hijrat kar ke madina munawwara tashreef le gaye.
khana kaaba us waqt
bhi allah ka ghar tha aur us me 360 buth rakhe hue the...
[BHUKHARI JILD.2 PAGE 614]
ab jo yeh kahe wahan kabza nahin ho sakta woh is hadees ka kya jawab dega,?
khane kaaba jo shuru se hi allah ki azmaton ka ghar raha hai wahan mushrikeen kaaba ki gird nange ho kar
tawaf karte the fathhe makka ke baad hamare pyare aaqa janab
ahmade mujtaba muhammad mustafa sallahu alahe wasalam nealain farmaya ab koi mushrik yahan nanga ho kar tawaf nahi kar sakta..
[BHUKHARI JILD.2 PAGE 206]
Is hadees se yeh baat wazeh ho gai ke waha batil firqe kabiz rahe
Yazeed paleed ne bhi
makka madina par kabza jamaya.
makke madine ki
be hurmati ki masjid ke
sutnoon se ghoore bandhe jo nijasat karte.. 3 din masjide nawvi me
naamaz band karai , kaabe par patthar barsaye,
gilafe kaaba phada, makke madine ki paak biwiviyan apnee
kammine ka
shkar par hallah ki aur zina ki ijazat de di,
sahabi-e-rasool
abdullah bin zubair ko
suuli chadaya aur 3 din tak unki laash baazar me latki rahi
[IRFAN-E-SHARIY AT JILD.2 PAGE.31,
TAKMILUL IMAN PAGE.71 , TABRANI]
kya is paleed ki kaabe par hukumat uske haq hoone ki daleel hai
hamare pyare aaqa janab ahmade mujtaba muhammad mustafa sallahu alahe wasalam kewisal ke baad
360 hijri me zaakat ke
munkireen ne makka
madina par kabza jamaya
aur murtad abu tahir
quramti ki wajah se hajj
band ho gaya wahan hajiyon
ko shaheed kiya gaya aur
mazeed zulm ye hua ke 20
saal tak hajre aswad ko
kaabe se juda rakha gaya
(yeh log qaramti firqe ke
naam se bhi jane jate
hain)
[HUJJA TULLAH ALAL AALAMEEN
JILD.2 PAGE.829]
654 hijri me khalifa
musthasim billah ke daur me shia rafzion ne
makka aur madina par qabza jamaya ,
ye woh zamana tha
ke makka madina ke
tammam imam or khateeb sab shia the. wahan sunni hona
to door ki baat sunnion ki kitab padhne par bhi
pabandi thi..
[WAFA UL WAFA JILD.1 PAGE.429]
agar imame kaaba haq hone ki alamat hai shia bhi imame kaba tha kya ye bhi haq par tha.
kya musalmano ki naamaz is shia imam ke
piche hoti hogi jo ye
kehte hai imame kaba ko bura mat kaho woh yahan kya jawab denge
ab jo jawab shia imam ke bare mehai wahi jawab najdi imam ke bare me
hai inhi firqo me se ibne
abdul wahab najdi ne bhi makke madina par kabza jamaya ,
masjid aur mazarate sahaba ko shaheed
karaya ,
darood o salam band
karaya ,
ulmao ko shaheed
karaya ,
sunnion par kufr aur
shirk ka fatwa lagaya ,
[TAWASSULU BINNABI PAGE.105,
RADDUL MUHTAR ALA DURRE MUKHTAR KITABUL IMAN PAGE.309]
is gumrah firqe aur is ke
manne walon ke bare me allama shami rehmatullah aleh ne inki mazzamat me apni book me likhte
hain.:
jaisa ki hamare zamane
main ibne abdul wahab
najdi ke manne walon ka waqia ronoma hua ye log najd se nikle aur makka aur madina par inhone kabza kar liya apne ko hambli kahte the lekin inka aqeeda yeh tha ki hum hi
musalman hain aur jo
hamare aqeede ke khilaf hai woh mushrik hai is liye inhone ahle sunnat ka Qatl jaiz samjha aur ulma ko shaheed kiya
[DURRE MUKHTAR JILD.16 PAGE.377]
1925 me ek baar phir najdi aqaid ke hamil shah abdul aziz najdi wahabi ne makka madina par qabza
jamaya 10,000 se zayada
sahaba o ahle bait ke
maazar ko giraya , darood o salam band karaya ,
makka ka mauzzin azan ke baad darood padta tha usko yeh
kaam karne se shaheed kar dala
[TAWASSULU BINNABI PAGE.105]
makka madina me milad manana, charagha karna ,
darood o salam parhna to door ki baat wahabiyo ne
ye fatwa bhi de diya k
hamare pyare aaqa janab ahmade mujtaba muhammad mustafa sallahu alahe wasalam k roze par salam
padna biddat hai..
[FATHUL MAJID SHARAK KITABUT TOHID PAGE.219]
ab samjhe aap ke wahan mamulate ahle sunnat par pabandi kyun hai.... —
No comments:
Post a Comment